ESHU TANWAR

ESHU TANWAR
NAWA CITY

Saturday, November 3, 2012

ESHU TANWAR: ESHU

ESHU TANWAR: ESHU

Meri Mohabbat Ka Maan Rakh Lo


Main saari dunya se hi bura hoon,
Baja’aa mujhe inkhiraaf kab hai,
Magar tumhari kasam hai mujhko,
Meri mohabbat mein shak nahin hai,
Meri mohabbat to be’hataa hai,
Meri mohabbat to devtaa hai,
Meri mohabbat se rukhh na morro,
Meri mohabbat ka dil na torro,
Meri mohabbat ka maan rakh lo.. TANWAR BOY  ARVIND NAWA CITY

Mujhe maloom tha jana, Wo jhooth tha tera..!


Mujhe malom tha jana
Wo jhooth tha tera..
Wo dosti ka vaada
Mohbbat se bhi zyada
Sath rehne ka irada
Kabi poora kbi aadha
Wo paglpan b jana
Kasur tha tera
Mujhe malum tha jaana
Wo jhuth tha tera..
Ye majburio’n to janeman
Bahaar ko hi hain
Zamane ne sath bhe
Diya kab hai
Wo jate jate jana
Muskra dena tera
Mujhe maloom tha jana
Wo jhooth tha tera..
Duriya’n jeet gayi mujhse
Ya teri zidd ki jeet hui
Aur teri yaadein mere zehen mein
Har pal gunjta geet hui
Wo tere naino me ashq lena
Bana ke masum sa chehra
Mujhe malum tha jaana
Wo jhooth tha tera..
Dil torra kisi ne
Saza kise milti rahi
Meri qismat meri mohbbat ko
Dil’lagi likhti rahi
Wo inkar-e-jwab-e-mulaq­at
Lga k bandisho’n ka pehra
Mujhe maloom tha jana
Wo jhuth tera..!
Kisi ke bichrney se
Zindgi ruk toh nhi jaati
Bas adhuri reh jati hai
Jo phir kabi puri ho nhi paati
Jeet tera wo na thikana
Jis dar pe tu aakr hai thehra
Mujhe maloom tha jana
Wo jhooth tha tera..!ESHU LUV RJ

Raat bhar rootha raha..

Baar’haa aese laga,
Jese tera hath,
Mere baalon ko chuaa ho,
Tu ne mujhse kaha ho lekin,
Raat bhar rootha raha,
Tu ne manaya hi nahin…

Tumhen Hum Khoo Chukay Lekin..

Chalo Hum Maan Lete Hain,
Tumhen Hum Khoo Chukay Lekin,
Tumhri Yad Ab Tak Bhi,
Hamain Betaab Rakhti Hai,
Hamari Sans Ab Tak Bhi,
Tumhari Aas Rakhti Hai,
Magar Ab Ye Bhi Suntay Hain,
Tumhari Raah Roshan Hai,
Tumhen Bhi Mil Gaya Koi,
Magr Afsos,
Hum Jesa,
Agar Pao Kahin Tum To,
Mujhe Doo Harf Likh Dena,
Ke,
Manzil Mil Gai Mujhko..!!

Meine ghar ke sarey mausam, Sab deewarain..

Meine ghar ke sarey mausam,
Sab deewarain,
Saarey pardey,
Yaadon se rang daaley hain,
Tum aao ge,
Tum is ghar ki har khirrki,
Har bagheechey,
Har ik goshay ko,
Apne rang mein dooba hua mehsus karo ge,
Aajao na!!
Aa bhi jao!!

Ik larki, Pagli si, Diwani si, Masoom si, Anjaani si..

Ik larki,
Pagli si, Diwani si,
Masoom si, Anjaani si,
Apne ghar ki mundair per bethi,
In galiyon aur chobaaron ko,
In koochon aur bazaaron ko,
Dekhti hai..
Jahan us ne apna bachpan guzara tha,
Us ki aankhon mein tha,
Intizaar..
Kisi ka!
Magar usey kaun samjhaye,
Ke bachpan ke vaadey to,
Kacchi dor ki tarah hote hain,
aur,
Bhala jane waley,
Kab laut kar atey hain..

Nazam uljhi huyi hai, seeney mein..

Nazam uljhi huyi hai,
seeney mein,
Sher atkey huye hain,
honton per,
Lafz kaaghaz pe bethtey hi nahin,
Urrtey phirtey hain titliyon ki tarah,
Kab se betha hua hon main,
janam,
Saada kaghaz pe likh ke naam tera,
Bass tera naam hi mukammal hai,
Iss se behter bhi nazam kya hogii..

Tum se jab baat nahin hoti, Kisi din jaanam..

Tum se jab baat nahin hoti,
Kisi din jaanam,
Aese chup chaap guzarta hai,
Yeh sunsaan sa din,
Aik seedhi si lambi sarrak par jese,
Saath chalta hua rootha hua sathi koi,
Mu’n phelaye huye naraaz sa,
Khamosh,
Udaas..
Aur jab milta hoon,
Hanss parta hai yeh rootha din,
Gud’gudaa* kar mujhe kehta hai,
“Kaho kese ho??”…

MAN

Mana ke dil hai ek magar pyaar bohot hai
jab pyaar horaha hai to inkaar bohot hai
her lamha saat rehne ko mein soch raha tha
wo keh rahi hai pyaar me itwar bohot hai…

ESHU

Zindgi mei Pyar muje unse etna tha ki,
Unki hi yadoo mei dil khoya rehta tha,
Marne ke baad bhi hum unko bhula na paye,
Aur kabra mei bhi dil dhadakta reh gaya.

ESHU

Tut jaye sabhi se riste zindgi mei magar,
Dil se dil ka rista kabhi nahi tutenga,
Chahe bhul jaye log hame zindgi mei magar,
Hamara aur tumhara sath kabhi nahi tutenga.

Friday, November 2, 2012

Raat Ki Bebasi – A Couplet

ik rooh se alag alag
shayad hai maut
jism se ik jism ka rooth jaana
shayad hai maut
kya hai maut
kuch pal ki neend
kuch pal ka sukoon
ya phir mere khayaalo ki duniya
khud ke khwabo mein ik khwab banana
shayad hai maut…

TUM SE HI


Tum hi se paida hue ye lafz, ye zindgi,
ye khayal ye bandgi.
inme ji lene do mujhe,
Ek jaam pada hai saamne pee lene do mujhe.
Gaharai ko cheerti tumhari aawaj,
sannato me shor ka saaz,
sun lene do mujhe
Ek jaam pada hai saamne pi lene do mujhe.
Tumhi se hausla paya maine ye likhne ka
khud ko baya karne do mujhe
Na jane phir kab milenge hum
seene se lipat k rone do mujhe
Ek jaam pada hai saamne pi lene do mujhe….


DIL NA LAGANA

kisi se rishta gehra na karna,
bhool kar bhi adhure sapne na sajana,
zindgi me kisi se Dil na lagana,
kyu ki gehre rishte adhure sapne aur,
Dil, akser toot jate hain….

APNA DIL LAGA KAR

hume bhi apna dil laga kar dekha,
toot kar kisi ko chah kar dekha ,
usne ne kar diya barbaad mujhe,
jiske liye humne apna sb kuch gawa kar dekha

ZINDGI ME AAPKI AHMIYAT

Zindgi me aapki ahmiyat, bata nahi sakte,
Dil me aapki jagah dikha nahi sakte,
Kuch rishte anmol hote hain,
Isse zyada hum Aapko, Samjha Nahi Sakte…

DASTAN-E-GUM SUNA KE ROYE

kabhi aasu chupa chupa ke roye
kbhi dastan-e-gum suna ke roye
rat katti h unke intzar me
hum rat bhr taro ko jaga-jaga ke roye
phir wo na aaye aaj ka wada kr ke
hum tamam rat shma jala-jala ke roye
aaj rat un ke aane ki ummid h hume
wo na aaye hum ghar ko saja saja ke roye
suna h dua se hoti h murad dil ki puri
hum sari rat hath duaon me utha utha ke roye