ESHU TANWAR

ESHU TANWAR
NAWA CITY

Friday, November 2, 2012

TUM SE HI


Tum hi se paida hue ye lafz, ye zindgi,
ye khayal ye bandgi.
inme ji lene do mujhe,
Ek jaam pada hai saamne pee lene do mujhe.
Gaharai ko cheerti tumhari aawaj,
sannato me shor ka saaz,
sun lene do mujhe
Ek jaam pada hai saamne pi lene do mujhe.
Tumhi se hausla paya maine ye likhne ka
khud ko baya karne do mujhe
Na jane phir kab milenge hum
seene se lipat k rone do mujhe
Ek jaam pada hai saamne pi lene do mujhe….


No comments:

Post a Comment